All posts by kavinigamkumar

Do kavitaye’n….kota

kota

Kota wo shahar jisne mere tamam berukhiyon ke baad bhi gale lagaya us pavitra shahar ko samarpit do kavitayen jisme ek meri yaadein haain to dusri meri aalochna
Maine jo dekha mehsus kiya wo likha

Kota_Yadein

wo shahar jo ki mera Gazal Ban gaya
Mere pyare se mann ka chaman ban gaya
Pairon se humne chotein bhi maari magar
The hum bhookhe toh maa ka stann ban gaya

Goud thi uski maa aur bahan ki tarah
Hum bhi the uske pyaare Lalan ki tarah
Aaj tak usne shautela maana nahi
Bolta tha ki duur humse jaana nahi

Uske rehmo karam dost achhe mile
Kota ke waasi jyadatar sachche mile
Chori makkari se unka naata nahi
Koi shikshak yaha rishwat khata nahi

Kota_Ek shahar

Aagaz yahi bairaz yahi
Global jaisa sartaj yahi
Bhole bhalo ki fauz yaha
Dixit jaiso ki mauj yaha

Coaching jaane me kasht yaha
Daaru peeke sab mast yaha
Sadkon se jyada khadde hain
Parko’n me Romance ke adde hain

Ghar walon se jyada P.G hain
Girlfriend ko kehte jiji hain
Pratap sarikhe karm nahi
Naari bikti par sharm nahi

Ye toh thi baat dalalo ki
Makdi ke kaale jaalon ki
Par kuch manav bhi yaha rehte hain
jo dukhiya hain par hasten hain……..

by
Nigam kumar
http://www.facebook.com/thepoetnigam

Jhande ka kala Rang

Ek bhai ke puchhne pe ki aapne Happy Independence Day kyun nahi wish kiya toh Kuch samay sochne ke Pashchat ek kavita Mann me aayi so likh diya waise aap sabhi ko Bhartiya Swadhinta Diwas ki Hardik Shubh kamnayen
Pata nahin kyun parr man rota hain jab jhande lage gaadiyon me behno ka Balatkar hota hain
Bharat ke shahid jawano ka apmaan hain ye jhanda
Dalito’n ke naam pe netao’n ka shaan hain ye jhanda
Bharat ke hum bhukho ka pehchan nahi hain ye
Baapu ke jhuthe waado ka shanvidhaan ye jhanda

Bharat ke MP sote hain phirte hain Parliament me
Jis desh ke yuva milte hain Facebook aur Internet me
Jab yuva yaha ke porn dekhne me busy ho jaatein hain
Haan tabhi desh bechne ko kuch Manmohan aaJate hai

Jhande ke tale jab bhaarat maa ka Izzat Lut te paata hoon
tab jhande ko nange Badno ka shobha main Paata hoon
Tab main ro kar kehta hoon uss samay ka bharat sachcha tha
Aur Bharat ke jhande se
BRITAIN ka jhanda Achha tha

Dont copy it
Desh Droh Ka Case Lag sakta hain
By
Nigam kumar

http://www.facebook.com/thepoetnigam

VeshyaVriti

prosti

Sex Workers ki vedna aur Dard batati kavita
Akhir kyun INDIA me Prostitution legal hone ke baad bhi sex workers Human rights aur labour rights se vanchit hai???
Kyun inhe ek samman janak jindgi jeene se roka jata he????

Mai Nagarvadhu mai veshya hoon, Main krti rhi tapasya hoon
Phir bhi Logo’n ko lagta he, Mai sabse bdi samsya hoon
Kin logo’n ki baat sunoon, jo din me mujhe satate hai
Yaa un logo’n ki baat sunoon, jo raate’n sath bitate hai

Kitne bhukho ko shant kiya, kitne kaliyo ko bachaya hai
Maine un sabko shant kiya, jisko tumne lalchaya hai
Phir bhi nafrat ke nazro se, mere gazro ko dekhte ho
Ek patti hi to sukhi he, phir kyun sajro ko phekte ho

Mai hoon samaaj se Niskashit, mujhpe nafrat ka saaya he
Jo din me mujhpe chillaya, wo raat ko kothe aaya he
Doctor CA khaddar khadi, Evm se lekar ballot tak
Mere upar se gujre he, peon se lekar pilot tak

Balatkar aur rape’on se to, mera aangan acha he
Sindur nhi mere mathe, pr pyar humara sacha he
Jab aurat lachar hui, tab tab ye surat banta hai
Aur meri aangan ke mitti, se hi murat banta hai

Yugo yugo se jinda hoon me, khurd berang deewaro me
Har pal khudko shoshit paya he tere atyacharo me
Mere liye kanoon nhi he, ab bhi mai aazad nhi hoon
Veshya-vriti legal kar daali, phir bhi mai aabad nhi hoon

Mere liye hai band darwaje, court kachehri thano ke
Koi FIR na likhta, mujhse huye apmano ke
Mere bache schoolo’n me, admission ko tarapte hai
Aur naseeb ke doctor sab, no permission keh bhagte hai

Mai bhi Hindustani hoon, mera bhi haq banta hai
Veshya mukt rha na bharat, naahi kabhi reh sakta hai
Mera haq bs dedo tum, Sir utha ke mai jee lungi
Tum Amrit rokar peena, mai zaher bhi haske pee lungi

by
Nigam kumar
http://www.facebook.com/thepoetnigam

Dalito ka Durbhagya

dalit

Aazad Bharat me Dalito ke samuhik #HATYA #BALATKAR ki sachai se awgat karati kavita

Din me jinhe Dalit kehte aur chhuna paap batate hai
Ratri kaal me ushi Dalit ka yauvan noch ke khate hai
Ekant me paate ushi Dalit ki ladki se khilwad kare
Jabran ushke kapde phaade aur muh kaala kar paap kare

Yahi kahani hai Ish desh ke Dalito aur Maha-Dalito ki
Kahi khauf ki majburi ya veshyavriti ke uplo ki
Jaha police station me hi abla ki cheekhe goom hai
Aise hue balatkaro ke Shakshi khade kai room hai

Kuch Dalit ke neta bante aur unko hi loote hai
Unke liye Dalit ka matlab pair ke kaale joote hai
Aakhir ye Aarakshan dekar kabtak inko lootenge
Din dur nahi jab Dalit khade Neta ke muh pe thukenge

Dalit naam se Aarakshit Seat’on pe Neta baitha hai
Colleg’on school’on me neta ka beta baitha hai
Aakhir kagaz ke aarakshan ka laabh kaha hai Dalito ko
Ye sab kagaz hi maar rahe sookhi atadi Maha-Dalito ko

Din me jaha police dhamkati
Raat Naxali aate hai
Kuch ko Naxali’on ne maara
Kuch police ki goli khate hai

Rojgar Roti nahi milti aarakshan ka saya hai
Bolo hathiyaar uthane ko inko kisne uksaya hai
Jab bhukhe pet ka rape yaha neta milkar karwayenge
Tab to hathiyaar uthana tha Milkar hathiyaar uthayenge

Aakhir Naxali naamo pe kabtak Dalito ko maroge
Veshyavriti ke saaye me kabtak in sabko taaroge
Inko bhi Izzat pyari hai ye bhi gangajal peete hai
Inko bhi tum pyar karo ye bhi Dharti pe jeete hai
Ye bhi Dharti pe jeete hai

By
Nigam kumar
Follow me on
http://www.facebook.com/thepoetnigam

Facebook Ya Fakebook

fake

Facebook ke fake people ke khilaf ek hasya kavita

Mai ek ladki hoon facebook chalati hoon
Aur apna mobile kabhi recharge nahi karati hoon
Maine jabse FB pe account banaya hai
EK pizza bhi apne paise se nahi khaya hai

Mai thori kaali, Moti aur chhoti hoon par kya phark padta hai
Kewal naam ke aage princess, Angel likhne bhar se purush samaj lalach padta hai
Raat ko meri shakl dekh colony wale dar jaate hai
Par ek edited pboto pe bhi 1000 likes pad jaate hai

LOG IN karte hi 100 friend requests aur 500 ko online paati hoon
Aur message kholte hi tatkal katrina ban jaati hoon
Message hote hai hi sexy, hi beauty, hi angel kaisi ho
Kuch message me likhe hote hai aap Aliya Bhat ke jaisi ho

Begani shadi me abdulah Deewana jaise photos me tag kar di jaati hoon
Aur galti se bhi like kar diya to unki girlfriend ban jaati hoon
Kuch to private chat me Bathroom tak ke photo bhej dete hai
Aur ice pe baithi ladki ko hottest hot bol dete hai

Kuch aise hai jo padosi ke luxury car me photo khichate hai
Aur facebook pe apne phate jutte ko chhipa car ka maalik ban jaate hai
Tab mai bhi apne jhuthe affairs aur jhuthe waado ki jhadi lagati hoon
Aur 40 rupaye ke ghadi ko original rolex batati hoon

Roj thode request pe 100-200 ka recharge ho jata hai
Aur phone aane se pehle balance transfer aur banda block ho jaata hai
Meri hostel waali friends to aur kaher dhati hai
Hoti hai rikshaw me aur “Travelling in jet airway” batati hai

Har warg ke log yaha virtual ho jaate hai
Jali roti ko Domino’s Pizza keh khaate hai
Iss website ne jhuthi bastiyo’n ko aabad kiya hai
Aur Angrezo se jyada hume facebook ne barbad kiya hai

Ram, Harishchandra ka ye desh ro raha hai
Bapu ke sachai ka hawan sa ho raha hai
Band kar do in jhuthe accounts ko, Isse pehle Hindustan farzistan ban jaaye
Aur roj hote suicide ruk jaayenge, Agar facebook pe bhi original Id card ka pravdhan ho jaaye

By
Nigam kumar
http://www.facebook.com/thepoetnigam

Aids Day

aids

Aaj AIDS DAY pe ek pidit wayaqti se mila to unka dard mehsus hua
Ush dard ko aaptak pahuchane ki koshish ki hai Sabhi Aids patient ki taraf se

Aids hote hi duniya viraan ho jaati hai
Dukhon ki devi Meherbaan ho jaati hai
Phir apne duur hone lagte hai
Aur jindgi Shamshan ho jaati hai

Kyun nahi samajhte humare jeene ke haq ko
Bure samay aur bure bad luck ko
Hum bhi do pal khushiyon me bitaana chahte hai
Haan hum bhi muskurana chahte hai…..
Haan hum bhi muskurana chahte hai……

By
Nigam kumar

http://www.facebook.com/thepoetnigam

Anna Hazaare

anna

POEM ON ANNA HAZAARE
11-12-13 ish date ko pura desh jashn mana raha tha late night partyaan chal rahi thi Par ek shakhs pe kisi ka dhyan nahi gaya #ANNA #HAZAARE jo ush raat bina khaye inhi deshwasiyon ke liye ANASAN par the
Kya Desh me Sanvedna Mar gayi hai???

Ek budha dekho kaanp raha, Par bhrashtachar ko kaat raha
Rehna hai yahi ishi jal me, par magarmachh ko daant raha
Bhrashtachar hai magarmachh, Aur bharat hi wo paani hai
Aur ye #Anna wo machhli hai, jisne ladne ki thani hai

Har baar yahi dhokha khaya hai, Apne hi darbaro se
Phir bhi ladne ko lauta hai, Sansad ke band kiwaado se
Jeevan paryant ladega ye, In bhrashtachari choro se
Ye #fauji kabhi nahi darta, goli banduk ke shoro se

Saalo se hai ye shant raha, par phir toofan ye laa dega
Phir bhi sansad jo na maani, Dilli ka chool hila dega
Isme lalach ka dosh nahi, ye rashtra bhakti me khoya hai
32 warso se ghar na gaya, Ek mandir matra me soya hai

Laghuta dekho janta ka jo, #Anna ko bhookhe paati hai
Phir bhi ek date ka sequel le, party full raat manaati hai
Chhuti ko bhi chhor #Anna, jo multiplex me jaate hai
Wo in bhrashti netao se, jyada jantantra dubaate hai

Kuch kehte apne bacho se, #Anna chelo’n se dur raho
Dilli ke galat phaislo ko, Majbur ho tum manjur kaho
In jaise hi bharat mata ki, doodh lajaya karte hai
Giddar ke jaise rehte aur, Giddar ki maut hi marte hai

Humne to than liya bhaiya, #Anna ka saath nibhayenge
Jail ki roti khayenge par, #Lokpal ko layenge
Bhrashtachar ke ant ka lo, maine bhi shubh suruwat kiya
Ek rupaye na #risawat dunga, #riswat ka pratikar kiya

#Anna ke sath milo na milo, par bhrashtachar se mukt raho
Aur apne kiye faisale pe, jeevan bhar tum santusht raho
Tab mera BHARAT phir se, Ek maha-Shakti ho jayega
Aur aarthik taaqat itni ki, America bhikh Maang khayega

by
Nigam kumar

http://www.facebook.com/thepoetnigam

Sachin Tendulkar Pe Kavita

sachin

DEDICATED TO SACHIN TENDULKAR
Abhi do cheeze media me chal rahi hain Sachin aur Krish3
To ish kavita me Koi Mil Gaya wala Jaadu(Alien) puch raha hain ki ye Sachin kaun hai Jiske baare me Poore Universe me Charcha ho rahi hain
Then Kavi uska jawab de raha hain

Ye Sachin kaun hai mujhe bhi to batao
Koi aakar iske kisse to sunao
Hum bhi to jaane bharat maa ke shantaan ko
Koi to dikhao jinda GOD bhagwan ko

Aakhir Tendalya se Tendulkar tak ki kahani kya hain
Iss pyare BHARAT RATN ki nishani kya hain
Bidai ki ye bela aur aankhe saari num hain
Kitni padhi kitabe pad jaankari kum hain

Duniya kare Ibadat, Satko ke Shahanshah ko
Dushman bhi jhuk ke chume, cricket ke rehnuma ko
Ye yodha gendbazo ki neend hain udata
Aur dohre satakbazo me pehla number pata

KRODH LOBH WASNA se iska nahi nata
Shisht aacharan se sabke manko ye lubhata
Anjali ke pati aur Arjun Sara ke papa
16 ki umra me hi inse PAKISTAN kaanpa

Bhagwan kahe jaate CRICKET dharam ke swami
Har rajya desh duniya ne loha inki maani
Par aaj ke diwas par Khushiyon pe bhari gum hain
Retirement ka pal aur har jan ki aankhe num hain

Aakhir ab Sachin.. sachin.. kiske liye chillayenge
Kiske out hone pe gum, aur chhakke pe khushiyan manayenge
Ab kya hoga maindan me, ye kaun janta hain
Kyunki ye Desh Cricket ko Sachin aur SACHIN ko hi cricket Manta hain

Aashuon se bheege panno pe, ab aage nahi likh paunga
New Generation ko highlights me hi sahi, par sachin jaroor dikhaunga
Kyunki Sachin ka har shot tab bhi ek MYSTREY hoga
Aur Sachin ka khel Past nahi, Ek Golden HISTORY hoga

By
Nigam Kumar
http://www.facebook.com/thepoetnigam

Tyoharo ke badalte maayne

happy

Happy Diwali to all my friends
Kuch alag andaaz hain wish karne ka
Khair ye kavita tyoharo ke badalte swaroop dikha rahi hain Jaha Aadhunik manav ko tyohar ka matlab chhuti aiyaashi aur sharab samajh aata hain aur kuch nahi kya such me hamare Tyohar badal rahe hain yaa phir hamari soch……..

Jua satta betting hi ab, Diwali pe hota hain
Koi khush ho pooja karta, Koi rokar sota hain
Matlab kya hain naye saal se, Humko daaru peena hain
Dance bar me dance dekh kar, Naye saal ko jeena hain

Holi aaya to bhaiya tum, Madira peekar so jao
Biwi bache bhukh mare, Par khud matwala ho jao
Bhang ganja ka sewan hi, Ab shivratri ka Shuchak hain
In sabko Prasad batana, Dekho kitna rochak hain

Maana Manoranjan Refreshment hi, Tyoharo ka Maksad hain
Par Nashe ka inse judna bhi, Ek bure waqt ka dastk hain
Har chiz yaha par nakli aur, Tyohar bhi nakli dikhte hain
Laddu Pede ke bhog sahit, Bhagwan bhi nakli bikte hain

Tere jeevan ko Sulabh saphal kar, Taaro sa chamkana hain
Warna tyohari mausam me, kyun kavita Likh paglana hain
Maaf karna jo rok diya, Tere khushiyon ko tok diya
Bas Happy Diwali ka Taufa, Saupna tha tujhko Saunp diya

By
Nigam kumar
http://www.facebook.com/thepoetnigam

Poem Against Delhi Minor Rape

drc

Delhi Minor Rape Par meri Dard ki kavita ke kuch chhand
Jisme is par prakash dalne ki koshish ki hain ki kaise ek taraf chaitra navrata me devi ki pooja ho rahi thi aur dusre taraf 5 sAal kj bachchi ke sath rape

Patthar ko devi keh keh kar shish jhukaya jata hain
Par panch saal ki bitiya ko nirmam tadpaya jata hain
Navmi ke din maa durga ke darshan karne jaate hain
Par nyay mangti ek abla ko thappad tak jad jaate hain
Manmohan kehte nahi thakte ghatna par sharminda hain
Tab toh mera prashn ek hain hatyara kyun jinda hain
Kisi Anjane dar se meri rooh roj dar jaati hain
Jab meri choti behna padhne bahar ko jaati hain

By
Nigam kumar
http://www.facebook.com/thepoetnigam